Imaan walo ka aqeeda nabi ka jism be saaya hai
Bismillah
huzur noore muzassam Sallallaho Tala Alaihi Wasalam ki tamaam khususiyat me se ek khususiyat yeh bhi he ki aap ke jism aqdas ka saya nahi padta tha na suraj ki roshni me na chand ki roshni me yahi aqeda sahaba tabain or tamaam buzurgane din ka he jiski tafseel kitabo se mazkur he is muqaam par chand aham khususiyat ke aqede mulhaiza kare
hazrat usman gani ka aqeda
(Radi Allahu Anhu)
1 raisul mufasarin hazrat allama imaam nasfi rahmatullah rahmatullah alehi (intiqal 701 hizri) farmate he hazrat usman gani Radi Allahu Anhu ne huzur Sallallaho Tala Alaihi Wasalam ki bargah me arz kiya ki khuda pak ne aap ka saya jameen par nahi dala taki koi insaan is par apna kadam na rakh de ( tafsire madarik jild 2 safa 103)
is hadees shareef se huzur Sallallaho Tala Alaihi Wasalam ke jis e aqdas ka saya na hone ke bare me amirul mominin hazrat usman gani Radi Allahu Anhu ka aqeda wajeh toor par malum hua jiski taied huzur se bhi sabit hui ki aap ke saamne hazrat usman gani Radi Allahu Anhu is baat ko pesh kiya or aap ne uska inqar nahi farmaya or yeh bhi sabit hua ki hazrat allama imaam nasfi ka bhi yahi aqeda he ki huzur Sallallaho Tala Alaihi Wasalam ke jism aqdas ka saya nahi padta tha warna is hadees shareef ko bila tarddun wah apni tafseer me hargiz tahreer na karte
hazrat zakwaan tabaei ka aqeda
Radi Allahu Anhu
hazrat hakim tirmizi ne aap se riwayt ki huzur Sallallaho Tala Alaihi Wasalam ke jism ka saya na suraj ki dhoop me nazar ata tha na chand ki chandni me (khasaike kubra jild 1 page 68 )
hazrat jakwaan Radi Allahu Anhu ne jub is hadees shareef ko riwayat kiya to sabit ho gaya ki unka bhi yahi aqeda tha ki huzur Sallallaho Tala Alaihi Wasalam ke jism ka saya kisi cheez ki roshni me nazr nahi ata tha or usi buniyad par hakim tirmizi ka bhi yahi aqeda sabit hua
allama qazi ayyaz ka aqeda
alahirahma intiqal 544 hizri
yeh jo bayan kiya gaya he ki suraj ki roshni me or chand ki roshni me huzur Sallallaho Tala Alaihi Wasalam ka saya nahi padta tha to isliya ki huzur Sallallaho Tala Alaihi Wasalam noor the (shifa shareef jild 1 page 242)
hazrat qazi ayyaz rahmtullahi ka aqeda is tahrer me bilkul wajeh he noor hone ke sabab huzur Sallallaho Tala Alaihi Wasalam ka saya nahi padta tha
Allama Jalaludin Suyuti ka aqeda
alahirahma intiqal 911 hizri
aap khasaike kubra me musatkil ek baab muratib karte hue tahreer farmate he
is mojaje ka byan ki huzur Sallallaho Tala Alaihi Wasalam ke jism ka saya nahi daikha gaya (khasaike kubra jild 1 page 68 )
fir allama suyuti hakim tirmizi se hazrat jakwaan Radi Allahu Anhu ki hadees nakal karne ke baad hazrat imaam ibne saba ne kaha yeh huzur Sallallaho Tala Alaihi Wasalam ki khususiyat me se he ki aap ka saya jameen par nahi padta tha isliya huzur Sallallaho Tala Alaihi Wasalam noor the to chand wah suraj ki roshni me wah chalte the to saya nazar nahi ataa tha baaz aaima ne kaha ki is khususiyat par huzur Sallallaho Tala Alaihi Wasalam ki wah hadees shahid he ki jis par ap ne yeh dua mankul he ki
e Allah mughe noor bana de ( khasaike kubra jild 1 page 68)
in tahreer se Allama Jalaludin Suyuti rahmatullah alehi ka aqeda bhi jahir ho gaya ki huzur Sallallaho Tala Alaihi Wasalam ke jism e aqdas ka saya nahi padta tha saath hi imaam ibne saba ka bhi yahi aqeda sabit hua
shaikh mujadide alfe sani ka aqeda
alahirahma intiqal 1035 hizri
1 aap farmate he beshak huzur Sallallaho Tala Alaihi Wasalam ka saya nahi tha uski wajah yah he aalam shahadat me har cheez se uska saya latif hota he or huzur Sallallaho Tala Alaihi Wasalam se latif kaynaat me koi cheez nahi to fir aap ka saya kis surat me ho sakta he (maktubaat jild 2 page 237)
2 jub Mohammadur rasoolallah Sallallaho Tala Alaihi Wasalam ke liya latif hone ke sabab saya nahi he to huzur Sallallaho Tala Alaihi Wasalam ke khud ke liya kase ho sakta he (maktubaat jild 2 page 237)
hazrat ki tahreer se hazrat ne apna aqeda bilkul wajeh kar diya ki huzur Sallallaho Tala Alaihi Wasalam se jayda latif kaynaat me koi cheez nahi isliya aap ka saya ho nahi sakta
shaikh Abdul haq delhvi ka aqeda
alahirahma intiqal 1052 hizri
aap farmate he huzur Sallallaho Tala Alaihi Wasalam ka saya na suraj ki dhoop me padta tha na chand ki chandni me (madarijun nabuwwat jild 1 page 21)
huzur Sallallaho Tala Alaihi Wasalam sarapa noor he or noor ka saya nahi hota( madarijun nabuwwat jild 1 page 118)
shaikh muhakkiq rahmatullah alehi ka aqeda in tahrero se bilkul wajeh or jahir ho gaya ki huzur Sallallaho Tala Alaihi Wasalam ke jism aqdas ka saya nahi padta tha
shah Abdul Azeez dahlvi ka aqeda
alahirahma intiqal 1239 hizri
ap huzur Sallallaho Tala Alaihi Wasalam ke jism aqdas ki khususiyat likhte hue farmate he aap ka saya jameen par nahi padta tha ( tafsere azizi para amma page 219)