A. Jab Mazaar Par Jaate Hen To Sahib e Mazar Ko ALLAH Ka Banda Samajh Kar Jaate Hen. Aur ALLAH Se Unke Wasile Se Dua Karte Hen. Aur Agar Ahle Mazar Se Maanga Bhi To ALLAH Ki Rehmat Ka Mustahiq Jaan Kar,
Ke Wo ALLAH Ki Ataa Se Detey Hen.
Mazaaraat
@02
Q.Kya Sahaba Bhi Mazar Par Jaa Kar Dua Maangtey They?
A.Dour e Hazrat Umar Me
Hazrat Bilal Bin Haris AAQA Sallallahu Alaihi Wasallam K
Mazar e Aqdas Par Hazir Ho Kr Arz Ki
Ya Rasoolullah Apki Ummat Par Qehat Aagaya He
To Sarkar Ne (Khuwab Me Aakar) Farmaya K
Umer Ko Ja K Salam Kaho
Aur Kaho
Apne Kaam Ko Aur Behtar Banaye
Tumhe Barish Mil Jayegi
(Musannif Ibne Sheba V12 P#32 H#12051)
(Fatahul Baari V2 P#495)
(Zurqani V8 P#88)
Mazaaraat
@03
Q.Kya Maqboolan e Khuda Ki Qameez Bhi Shifa Deti He?
Yousuf Alaihissalam;
"Meri Ye Qameez Le Jaao,
Isey Mere Baap(Walid) Ke Mun Par Daal Do"
(Yousuf Ayat#93)
"Phir Khushi Sunane Wala Aaya To Qameez
Yaqoob (Alaihissalam) Ke Mun Par Daal Di Usi Waqt Unki Aankhen Loutt Ayin"
(Yousuf Ayat#96)
Jab ALLAH Ke Naik Bando Ki Qameez Ki Barkat Se Aankhen Milti Hen To Unke Mazar Par Jaa Kar Iktisaab e Faiz Lene Walon Ko Kya Na Milta Hoga
No comments:
Post a Comment