Thursday 19 April 2012

darood shareef kiii fazilat

HADIS: NABI E KARIM SALLALLAHU ALAIHI WASSALAAM NE FARMAYA HAR CHIZ K LIYE TAHARAT OR GUSL HOTA HAI Or IMAANWALO K DILO KI ZANG KI TAHARAT MUJHPAR DURUD-e-PAK PARHNA HAI AL-BADEE,S-135 JUMA K DIN KHUB DARUD PADHE NABI PAK(SallAllahu AlehE Wasallam) Ny Frmaya:"Woh Shaks Zalil Howa Jisky Samny Mera Ziker Kia Gaya Or Usny Mujh Par Darud Nahi Bhaija."(Tirmazi) Hazrat Muala Ali Sher-E-Khuda (Karam Ullah Wajhul Kareem) Ny Farmaya: “Kuch Noori Farishtey Wo Hain Jo Sirf Jumma Ki Raat Aur Jumma Ky Din Zameen Par Utarty Hain Aur Un Ky Haathon Mein Sony Ky Kalam, Chandi Ki Dawatein(Ink-Pots) Aur Noor Ky Kaghaz Hoty Hain, Wo Sirf Nabi Akram (SallAllaho Ta’ala Alehe Wa Aalehi Wassallam) Par Durood-E-Pak Parhny Walon Ka Durood-E-Pak Likhty Hain.” (Sa’adat Al-Daarain, Pg 61)

No comments:

Post a Comment