Wednesday, 11 July 2012

Imame Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat :

Kuchh sunni sahi ilme deen na hone ki wajah se sahi aqeede par hone ke bawajood sahi amal nahi karte aur khilafe shariat amal karte hain,
Jis se bad-mazhabo ko ye kehne ka mauqa milta hai ke Sunni gunah karte hain.

Hame un ko sahi baat narmi ke saath samajhani hai.
Lekin un nadaan sunnio ki wajah se koi Imame Ahle sunnat aur Maslake Aala Hazrat ko galat nahi keh sakta.

Aur ye bad-mazhab jo Ahle sunnat wal jama’at ke khilaf hain
wo bhi sirf aise logo ko dekhte hain jo sunni hone ka dikhawa karte hain,
Aur phir Maslake Aala Hazrat ko galat mante hain.

Asl me wo un sunnio se mile jo shariate islam par sahi amal karte hain aur Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan rehmatullahi alaihi ki Kitaabe padhen to
Unki galat fehmiya door ho jaae aur Unhe pata chale ke Maslake Aala Hazrat sahi aur Behtareen hai aur us me koi baat nahi jo khilafe shariat hai.

*************** *****
Imame Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat :
*************** *****
Ab kuchh aisi baate gaur se padhkar samajh len
Jis me Imame Ahlesunnat Ahmad Raza Khan rehmatullahi alaihi ne apni kitaabo me buri bid’ato ko radd kiya hai aur un se bachne ka hukm diya hai.

*************** *****
(1) Sajda ALLAH ke siwa kisi ke liye nahi.
Gairullah ko Sajda e Ibadat Shirk Aur Sajda e Ta’azimi Haraam hai.
(Azzubdatuz Zakiyya, Safa -5)

(2) Roza e Anwar ka na Tawaf karo, na Sajda, na itna jhuko ke Rooku ke barabar Ho.
Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki ta’azeem unki Ita'at me hai.
(Fatawa Razawiya, 10 /769)

(3) Mazar ka Tawaf ba-niyyat Ta’azeem najaiz hai.
Tawaf sirf ka’abe ke liye makhsus hai.
(Fatawa Razawiya, 4/08)

(4) Khabardar (Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke Roza ki) jaali ko bosa dene ya haath lagane se bacho ke ye Khilafe adab hai,
Balke 4 haath ke faasle se zyada qareeb na jaao.
Ye un ki rehmat kya kam hai ke apne huzur bulwaya.
(Fatawa Razawiya, 10 /765)

(5) Farzi mazaar banana aur us ke saath asl ka sa muamla karna najaiz Aur Bid'at hai.
(Fatawa Razawiya, 9/425)

(6) Jis waqt aurat (Mazar par jaane ke liye) ghar se irada karti hai la'anat shuru ho jaati hai aur jab tak wapis aati hai, mala’ika la'anat karte rehte hain.
Siwaye Roza e Rasool ke kisi mazaar par jaane ki ijazat nahi, Ke wo Zarya e Magfirat hai.
(Malfuzat, Safa -240)

(7) Nasha haraam hai aur Nashe ki cheeze peena jis se Nashebaazo ki munasibat ho ye bhi gunah hai.
(Ahkam e Shariat, Jild -2)

(8) Mazaamir ya’ni Aalat e lahw o la'ab (Musical instruments) bila shuba haraam hain. Jin ki hurmat Auliya aur Ulema ke kalimaat me wazeh hai.
Unke sunne sunane ke Gunah hone me shak nahi.
Aur Saadaat e Chisht ki taraf unki nisbat iftera hai.
(Fatawa Razawiya, 10/54)

(9) Randiyo ka Naach be-shak Haraam hai.
Be-qaid jaahilo ne ye ma’asiyat phelayi hai.
(Fatawa Razawiya, 29/92)

(10) Aatish baazi israaf hai aur Israaf haraam hai,
Khane ka aise lutana be-adabi Aur Be-adabi mehroomi hai, Maal ka israf hai. Roshni agar masaliha e shariya Se khali ho to wo bhi israaf hai.
(Fatawa Razawiya, 24/112)

(11) Qabro ki taraf Shama le jaana ye Bid'at aur Maal ko zaaya karna hai.
(Al Bareequl Manaar, Safa -9)

(12) Mazar par jab chadar majood ho, Kharab na hui ho, Badalne ki haajat nahi to chaadar chadhana Fuzulkharchi hai, Balke jo rakam is me sarf karen, wo ALLAH ke wali ko isaale sawab karne ke liye kisi mohtaj ko den.
(Ahkaam e Shariyat, Jild -1/42)

(13) Kisi ne agar Taaziye par Mannat maani to ye Nazar baatil aur najaiz hai.
(Fatawa Razawiya, 24/501)

(14) Najaiz baat ka tamasha dekhna bhi najaiz hai, Jis tarah bandar nachana.
(Malfuzat, Safa -286)

(15) (Urs ka din muqarrar karne me maslihat) :

Auliya ki arwahe tayyiba ko unke wisal ke din Quboor e kareema ki taraf tawajjoh zyada hoti hai, Chunache wo waqt jo khaas Wisaal ka hai, Akhaz e Barakat ke liye zyada munasib hota hai.
(Malfuzat, Safa -383)

(16) (Mazar par Haazri ka tareeqa) :

Paainti (qadmon) ki taraf se jaae, Kam az kam 4 haath ke faasle par Mawajeh par khade ho, Ba-adab Salam arz karen.
3 baar Surah al-Fatiha, 1 martaba Aayat ul Kursi aur 7 Martaba Surah al-Ikhlas ki Tilawat karen.
(Fatawa Razawiya, 9/522)

(17) (Mazaar par Dua ka tareeqa) :

Fatiha ke baad Sahibe mazaar ke Waseele se Allah se Dua karen Aur apni jaaiz murad pesh karen.
Phir Salam karte hue wapis aayen.
Mazaar ko na haath lagaen, Na Bosa den.
Tawaf bil ittefaq Na-jaaiz hai Aur Sajda Haraam hai.
(Fatawa Razawiya, 9/522)

*************** *****
# Is liye mo’min ko chahiye ke ye yaad rakhe ke

Auliya allah ke mazar par gilaf (chadar) chadhana aur khushboo lagana, Tilawate Qur’an, Zikr aur Duroodo salaam padhna aur Allah ta’ala se unke waseele se dua karna ye sab Bid’ate Hasana aur jaiz hai.

Aur Mazar par ya qabrastan me aurto ko jaana, nachna aur gana-bajana, khel tamasha karna ye sab Bid’ate mufassaqah (ya’ni gunahgar banana wali) hain.
Aur Qabr ko sajda karna ya chumna ya rooku ki tarah jhukna ya uska tawaf karna ye sab Bid’ate mukaffarah (ya’ni Shirk aur Kufr tak pahunchane wali) hain.

In sab se hamesha bache aur doosro ko bhi in se bachne ke liye kahen.

*************** *****
Allah ta’ala uske Habeeb sallallahu alaihi wasallam ke sadqe me sab ko hidayat ata farmae aur Sab ke Iman ki hifazat farmae aur Sahi ilme deen hasil karne ki aur Sahi baat samajhne ki taufiq ata farmae aur Sahi nek amal karne ki aur Gunaho aur buri bid’ato se bachne ki taufiq ata farmae aur Islam ka bolbala ata farmae.
Aameen.

No comments:

Post a Comment