Tuesday 8 September 2015

Eid Ul Azha Aur Qurbani Ka Bayan

Eid Ul Azha Aur Qurbani Ka Bayan
Allah Rabbul izzat irshad Farmata Hai..
"Tum Apne Rab Ke Liye Namaz Padho Aur Qurbani Karo"
(Para 30, Sure Kausar Ayat No 2, Tarzuma Kanzul Imaan)
Qurabni Hazrat ibraheem عليه السلام Ki Sunnat Hai Jo is Ummat Ke Liye BAQI Rakhi Gai Aur Huzoor ﷺ Ko Iska Hukm Farmaya Gaya.
Huzoor Sarware Kainaat ﷺ Ke Muqaddas Irshadaat.
✏HADEES:
Hazrat Abdullah Bin Abbas رضی اللہ تعالٰی عنہما Se Riwayat Hai Farmaya Allah Ke Rasool ﷺ Ne Eid Ke Din (Eidul Adha Me) Jo Paisa Qurbani Par Kharch Hua Usse Pyara Koi Rupya Nahi
{المعجم الكبير، جلد-11، صفحہ-15، الحديث-10894}
✏HADEES:
Hazrat Umme Salma رضی اللہ تعالٰی عنہا Se Riwayat Hai Farmaya Allah Ke Rasool ﷺ Ne Jisne ZIL HIJJAH Ka Chand Dekha Aur iradah Qurbani Ka Ho To Jab Tak Qurbani Na Kar Le Baal Nakhun Na Kate
{جامع الترمذي، كتاب الضحايا، باب ما جاء في إيجاب الأضاحي، جلد-3، صفحہ-123، الحديث-1500}
✏HADEES:
Hazrat Imame Hasan Bin Ali رضی اللہ تعالٰی عنہما Se Riwayat Hai Farmaya Allah Ke Rasool ﷺ Ne Jisne Khush Dili Se Sawab Ki Talab Me Qurbani Ki Wo Uske Liye Jahannam Se Rok (Pardah) Ho Jayegi
{المعجم الكبير، جلد-3، صفحہ نمبر-84، الحديث-2736}
✏Hadees:
Ummul Momineen Sayyedah Aishah Siddiqah رضی اللہ تعالٰی عنہا Se Riwayat Hai Farmaya Allah Ke Rasool ﷺ Ne...
Yaumun Nahar (10-wi Zilhijjah) Ko ibne Adam Ka Koi Amal Allah Ke Nazdeek Khoon Bahane Se Ziyadah Pyara Nahi
Aur Wo Janwar Qayamat Ke Din Apne Seeng Aur Baal Aur Khuron Ke Sath Ayega aur Qurbani Ka Khoon Zameen Par Girne Se Qabl Allah Ke Nazdeek MAQAME Qubool Me Pahoch Jata Hai Lihaza Use Khush Dili Se Karo
{جامع الترمذي، كتاب الأضاحي، باب ماجاء في فضل الأضحية، جلد-3، صفحہ نمبر-163، الحديث-1498}
Hazrat ibraheem عليه السلام Ki Sunnat Ke Ahya (Zindah Rakhne) Me Jo Qurbani Wajib Hai Wo Sirf Gani (Maldar) Par Hai Aur Uske WAJIB Hone Ki Kuch Shara'it Hain Jo Ye Hain....
1. Musalman Hona Gair Muslim Par Wajib Nahi
2. Muqaeem Hona Musafir Par Wajib Nahi
3. MALIKE NISAB Hona Aur Nisab Wo Jisse Sadqae Fitr Wajib Hota Hai Na Ki Zakat Wala Nisab
4. Hurriyat Yani Aazad Hona Gulam Par Qurbani Wajib Nahi
Musalman Maldar Muqeem Aazad Mard Ya Aurat Ho Un Par Wajib Hai.
✒Mas'ala:
Shara'it Jo Upar Bayan Hui Unka Pure WAQT Me Paya Jana Zaroori Nahi Balki Qurbani Ke Liye Jo WAQT MUQARRAR Hai (10wi Zilhijja Se 12wi Ke Suraj Dobne Tak) Usme Se Kisi Hisse Me Shara'it Paai Gai To Qurbani Wajib Hai, Masalan Eik Shakhs Shuru Waqt Me Kafir Tha Phir Musalman Hua Aur Abhi Qurbani Ka WAQT hai To Uspe Qurbani Wajib Hai Eik Shakhs Gulam Tha Ab Azad Hua Uspe Wajib Hai, Eik Shakhs FAQEER Tha Ab Gani Hua Uspe Wajib Hai
{الفتاوى الهندية، كتاب الأضحية، الباب الأول في تفسيرها.......إلخ جلد-5، صفحہ-293}
✒Mas'ala:
Musafir Par Agarche Wajib Nahi Magar NAFL Ke Taur Par Kar Sakta Hai, Sawab Payega, Hujjaaj (Haj Karne Wale) Jo Musafir Hain Un Par Qurabni Wajib Nahi, Haan Jo Wahan Ke Sukkan (Rehnewale) Hain Un par WAJIB Hai Wo Log Musafir Nahi Hain
{الدرالمختار"و"ردالمحتار، كتاب الأضحية، جلد-9، صفحہ 524}
✏Hadees:
Hazrat Abu Hurairah ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Se Riwayat
Hai Farmaya Allah Ke Rasool ﷺ
Ne.
Jisme Us'at Ho Aur Qurbani Na Kare Wo Hamari
Eid Gaah Ke Qareeb Na Aaye
{ ﺳﻨﻦ ﺍﺑﻦ ﻣﺎﺟﮧ، ﻛﺘﺎﺏ ﺍﻷﺿﺎﺣﻲ، ﺑﺎﺏ ﺍﻷﺿﺎﺣﻲ
ﻭﺍﺟﺒﺔﻫﻰ ﺃﻡ ﻻ، ﺟﻠﺪ 3- ، ﺻﻔﺤﮧ 539- ، ﺍﻟﺤﺪﻳﺚ 3123- }
✒Mas'ala:
Jo Shakhs 200 Darham Ya 20 Dinaar Ka Malik Ho
Ya Hajat Ke Siwa kisi Aisi Chiz ka Malik Ho Jiski
Qimat 200 Darham Ho Wo Gani Hai Aur uspe
Qurbani Wajib Hai
{ ﺍﻟﻔﺘﺎﻭﻯ ﺍﻟﻬﻨﺪﻳﺔ، ﺟﻠﺪ5- ، ﺻﻔﺤﮧ 292- }
✒Mas'ala:
Jis Shakhs Par Qarz Ho Aur Qarz Ki Raqam Nikal
Lee Jaye To Phir Qurbani Ka Nisab Baqi Nahi
Rehta Uspe Qurabni Wajib Nahi.
Agar Maal Hai Magar Maujood Nahi Qurbani Ke
Bad Milega To Bad Me Uspe Wajib Nahi
{Bahar-E-Shari'at, Hissa-15, Page-333}
✒Mas'ala:
Eik Shakhs Ne Qurbani Ke Liye Bakri Kharidi Thi
Wo Gum Ho Gai Aur uska Maal Nisab Se Kam Hua
To uspe Dusra Janwar Kharid Kar Qurbani Karna
Wajib Nahi, Agar Wo Qurbani Ke Ayyam Me Hi Mil
Gai Lekin Ab Ye Shakhs Gani (Malike nisab) Nahi
Raha To Ispe Bhi Qurbani Wajib Nahi
{Alamgiri, Volume-5, Page-292}

No comments:

Post a Comment