Wednesday, 4 July 2012

nabi -wali se madad mangna na shirk na bidat

ASSALAMO ALAYKUM WA
REHMATULLAHI WA BARAKATOHU

|= Kya Ye Hadithe bhi Bid'at yaa Shirk ki Ta'alim deti hai ?! =|

Allah Azzavajalla ki Kitab Qura'an Shareef ke baad jiski Raah Jannat ki Raah hai
voh hai HADITH SHAREEF !
Usse
Hidayat haasil karein.

Allah Azzavajalla ke Alaawa Uski
Makhlook me se kitni cheeze se
Madad le sakaati hai yaa Maang sakte
hai,
Usse saabit Hadith Shareef to kai
saari hai.

Aaiyye !
Kuchh Hadith Shareefon ke jarie
Galatfehmion ko Durr karke imaan
taaja karte hai Shaytan ko Mayus karte hai.

Hazrat Aboo Hureirah RadiyAllahu
Ta'ala Anhu Rasoolullah SALLALLAHU
ALAYHI WASALLAM se Riwayat karte
hai ke,: "Suba'h,
Raat aur Raat ke Aakhri Waqt (Hisse)
ki IBAADAT SE MADAD CHAAHO."
[Bukhari,Nisaai Shareef]

Kya IBAADAT KHUDAhai ?
Saabit huwa ke
Khuda ki "IBAADAT" ye Khuda ki
Madad Maangne ka Zariya aur
Waseela hai. Usi ke Mutaabik
NABI-WALI BHI KHUDA KI MADAD KE
ZARIYE AUR WASEELE HAI JISE UNSE
MAANGNA NAHI, AUR NAHI BID'AT
HAI.


Aaiyye !
Sabka iman taaja ho jaae aisi aur ek
Saaf Hadith Shareef suno !
.Sahih Muslim
Aboo Daood
Ibne Maajah
Moajam-e-Kabeer
Aur Tibrani me Rabeeah ibne Ka'ab
Aslami RadiyAllahu Ta'alaAnhu se
hai. .

Hazrat Rabeeah Aslami
RadiyAllaho Ta'ala Anho Bayan karte
hai,:
"Mai Raat ko Huzoor SALLALLAHU
TA'ALA ALAYHI WASALLAM ki
Khidmat-e-Aqdas me tha.
Maine Huzioor SALLALLAHU
TA'ALA ALAYHI WASALLAM ko
Wuzoo ke liye Paani aur Deegar
Saamane zarurat Pesh kiya, To
Huzoor SALLALLAHU TA'ALA
ALAYHI WASALLAM ne irshad
farmaya :
"Maango kya Maangte ho Mein
Tumhe Ata karunga !"
(Rabeeah RadiyAllhu Anh) ne Arz ki,
"Mein Huzoor
ALAYHISSALATOWASSALAM se
SAWAAL (Maangta hoon) KARTA
HOON ke JANNAT Me Huzoor
SALALLAHU ALAYI WASALLAM KA
SAATH ATA FARMAAO." Huzoor
ALAYHISSALATOWASSALAM ne
farmaya:
"KYA ISKE ALAAWA AUR KUCHH
MAANGNA HAI ?!"
Maine Arz kiya ke,
"BAS !
MERI MURAAD TO YEHI HAI !"
Aaqa SALLALLAHU ALAYHI
WASALLAM ne farmaya :
"Zyada Sajdon se Apane Nafs ki islah
kar ke Meri Mu'aawenat
karo."
[MISHKAT SHAREEF,SAFA:8 4 /
MUSLIM SHAREEF,JILD:1,SAF A:83]

Sub'hanAllah !
Ye Duniya ke joothe logo ki tareh
tgoonk nahi udaaya !
Allah Azzavajalla ke Mehboob
SALLALLHU ALAYHI WASALLAM ko
Allah Ta'ala ke dene se taaqat hai isi
liye to farmaya, "Maango !
Kya chaahiye ?"
.
Ek Hadith Shareef me hai :
HUZOOR-E-AKRAM SHAAFI-E-
MEHSHAR SAIYAD-E-DO-AALAM
SALLALLAHU TA'ALA ALAYHI
WASALLAM irshad farmate hai:
"Allah Ta'ala Deta hai aur Mein
Takseem karta hoon."
[Mishkat Shareef]

Abhi bi tumhe Nabi
Alayhissalatowassalam se Maagne me
waswasa hai ?! Hadith Shareef me
Rasool SALLALLAHU ALYHI
WASALLAM ne khud farmaya ke
Maang ! Abhi bi tumhe Bid'at aur
Shirq dikhai deta hai ?
Kya Allah wa Rasool Azzavajala wa
Sallallhu Alyhi Wasallam Shirk ka
huqm de rahe hai ?! Aye logo !
Dimaag ko sahi jageh laao aur
samzo !
Kaha Ghumrahi me bhatakne ja rhe
ho ?! —

No comments:

Post a Comment